ishaq o masti ka janaza hai takhayul inka
inkay andaish e taareeq main qaumon ke mazaar
maut ki naqsh gari inkay sanam khanon main
zindagi se hunr in barhamano ka baizar
chashm e aadam se chhupatay khain muqamaat e buland
kartay hain rooh ko khabeeda, badan ko baidaar
hind ke shayer o soorat gar wa afsaana nawees
ah ! baicharoon ke asaab pai aurat hai sawaar
teri hareef hai ya Rabb siyasat e afrang
magar hain uskay pujari faqt ameer o raees
banaya aik hi Iblees aag se Tu nay
banaey khaaq se usnay dau (2) sadd hazaar Iblees
Vitex negundo
1 day ago




