yeh aag, yeh pani, yeh hawaa hei kay nahin hei?
yeh barq, yeh baaraan, yeh ghataa hei kay nahin hei?
yeh phool, yeh kalyaan, yeh saba hei kay nahin hei?
har rang mein Wo jalwa-numa hei kay nahin hei?

ab soch meray dost Khuda hei kay nahin hei ???
yeh chand, yeh sooraj, yeh sitaray hein safar mein
yeh behr, yeh amwaaj, yeh dharay hein safar mein
fitrat kay dil-aawaiz nazaray hein safar mein
inka bhi koi raah-numa hei kay nahin hei?
yeh behr, yeh amwaaj, yeh dharay hein safar mein
fitrat kay dil-aawaiz nazaray hein safar mein
inka bhi koi raah-numa hei kay nahin hei?
ab soch meray dost Khuda hei kay nahin hei ???
yeh daanay kay seenay pay shajar rakh diya kiss nein?
yeh sang kay pahloo mein sharar rakh diya kiss nein?
yeh qatra-e-naisaan mein gohar rakh diya kiss nein?
yeh mojza-e-Rabb-ul-ulaa hei kay nahin hei
yeh sang kay pahloo mein sharar rakh diya kiss nein?
yeh qatra-e-naisaan mein gohar rakh diya kiss nein?
yeh mojza-e-Rabb-ul-ulaa hei kay nahin hei
ab soch meray dost Khuda hei kay nahin hei ???
phailay huay har samt kamaalaat hein kiss kay?
yeh loh-o-qalam, arz-o-samaawaat hein kiss kay?
taa-hadd-e-nazar masbat nishaanaat hein kiss kay?
ehsaas tujhay iss ka zara hei kay nahin hei?
yeh loh-o-qalam, arz-o-samaawaat hein kiss kay?
taa-hadd-e-nazar masbat nishaanaat hein kiss kay?
ehsaas tujhay iss ka zara hei kay nahin hei?
ab soch meray dost Khuda hei kay nahin hei ???
kiss zaat ka lahron ki zabaan par hei wazeefa?
kiss zaat ki haibat ka samunder hei saheefa?
kiss zaat nein insaan ko banaya hei khaleefa?
aye kor-nazar deeda waa hei kay nahin hei?
kiss zaat ki haibat ka samunder hei saheefa?
kiss zaat nein insaan ko banaya hei khaleefa?
aye kor-nazar deeda waa hei kay nahin hei?
ab soch meray dost Khuda hei kay nahin hei ???
ab soch meray dost Khuda hei kay nahin hei ???
ab soch meray dost Khuda hei kay nahin hei ???

6 Comments:
beautiful poetry..
It's really an amazing poem but I could not find out the authors name.
wow. amazing....... I loved it.........
Blogging Tips & Widgets
http://www.thebloggertutorial.com
Thanks for sharing your views.
Buht khobsorat nazam he.
"Or tum apne rab ki kon konsi naimaton ko jhutlao gay"
name of the poet? anyone plz tell
Post a Comment